Sheldon Bangera
Hindi Worship Songs
Sheldon Bangera has done a wonderful job in translating some well known worship songs into Hindi. He also has been making many originals and using his skills to share the love that is found in Christ. Below you can find songs by him and his band, and find attached lyrics.
Playlist -
Tu Kabhi Na Chode Mujhko (You Never Let Go)
Tera Anugraha Kaafi Hai (Your Grace is Enough)
Sirf Hai Masih (In Christ Alone)
Sanatan Mere Khuda (Everlasting God)
Kaisa Pitaa Ka Pyaar Hai (How Deep The Fathers Love For Us)
Dhanya Tera naam (Blessed Be Your Name)
Aradhana Karun (Light Of The World)
Tere Pyaar Ke Geet Main Gaoon (I Could Sing Of Your Love)
​
Tu Kabhi Na Chode Mujhko (You Never Let Go)
Chaahe main chaloon saaye maut ki tarai mein se
Tera siddh prem bhai bhagaaye
Jab bhi main phasoon is jeevan
ke sangharshon mein
Main paltoon na Tu paas hai jo mere
Dushtta se daroon na
Saath hai jo mere Khuda
Saath hai jo mere Khuda
Kis se main daroon?
Kis se main daroon?
Tu kabhi nahi chode mujhko
Shaantta aur sankat mein bhi
Tu kabhi nahi chode mujhko
Har chadhaav aur har utaar mein
Tu kabhi nahi chode mujhko
Prabhu Tu na chode mujhko
Aayega prakaash unke liye
jo hain thaame Tujhko
Tejasvi sab Tulna se paar
Saare sangharsh tham jaayenge
par usi din tak
Hum jaane Tujhe is dharti par
Dushtta se daroon na...
Tu kabhi nahi chode mujhko...
Aayega prakaash unke liye
jo hain thaame Tujhko
Saare sangharsh tham jaayenge
par usi din tak
Stuthi main gaoon
Stuthi main gaoon
Tera Anugraha Kaafi Hai (Your Grace is Enough)
Mahaan vishwasyogya Prabhu
Badalta paapi dil ko Tu
sukhdaaye jharnon mein chalaata humko
karuna mein
koi judaa na kar sake humein
Sudhi kar Tere logon ki
Suddhi kar Tere bachon ki
Suddhi kar Tere waache ki Prabhu
Tera anugraha kaafi hai
Tera anugraha kaafi hai
Tera anugraha kaafi hai mere liye
Mahaan hain prem aur nyaay Tera
Nirbal ko balwaan ka agwaah banaata
Tu humko Tarak geeton mein chalaata
Aur gaaye jan Tere Prabhu
Sudhi kar Tere logon ki...
Tera anugraha kaafi hai...
Haan, Tera anugraha kaafi hai
Swarg ab ab mere saath hai
Haan, Tera anugraha kaafi hai mere liye
Prabhu, janoon, Tera anugraha kaafi hai
Dooba Tere pyaar mein
Tera anugraha kaafi hai mere liye, mere liye
Sirf Hai Masih (In Christ Alone)
Sirf hai Masih, Aasha Meri
Jyoti, bal woh geet mera
Woh neev hai, mzbut chataan
Aandhi sukha ya toofaan
Kya uncha prem, geheri shaanti
Jahan bhai na ho, sangharsh bhi
Sahayak hai, sab kuch mera
Masiha ke prem mein main khada
Masih Mera, Insaan bana
Poorna Khudawand hai janma
Dharmikta ka pyaara thofa
Payee prem ke badle ghrina
Jab kroos par Yeshu mara
Tript ho gaya Krodh Khuda ka
Har paap uspar dala gaya
Yeshu ke mrityu mein main jiya
Zameen mein gaada use
Jag ka prakaash andhere mein
Phir Mahima se, ujjwal din mein
Jee uthaa kabra se, phir se
Jaise khada, woh Vijay mein
Shraap paap ka toota mujhpar se
Main uska hoon, woh mera hai
Masiha ke paavan rakht se
Mrityu ka dar, na dosh hai
Yahi toh Masih ka bal mujhme
Pehle saans se aakhir talak
Yeshu likhta takdeer meri
Narak ki shakti, Na saazishein
Un Haathon se mujhko, chuda payein
Jab tak v'laute, ya mujhko
Sanatan Mere Khuda (Everlasting God)
NachoongaBal payein jaise hum baat johte
Yahweh ki baat johte
Yahweh ki baat johte
Khuda, Hai Raaja sarvada
Aasha, apni - Tu hai uddhar
Tu hai Sanatan Mere Khuda
Sanatan Mere Khuda
Na shramit, na Tu thakta hai kabhi
Tu hai nirbal ka sahaara
Kamzoron ka dilaasa
Ukabonki tarah udaata hai
Kaisa Pitaa Ka Pyaar Hai (How Deep The Fathers Love For Us)
Kaisa Pitaa ka Pyaar hai
Napayi se hai yeh apaar
Ik lauta beta dekar hai
Mujh neech ka kiya uddhar
Kitna bada woh dard tha
Pita bhi jo muh pher liye
Har ghaav jo Yeshu ne saha
Laya santaan Mahima ke
Dekho use jo kroos par
Kaandhon par uske mera paap
Laaj bhari meri awaaz
Tiraskari dushton ke saath
Jakde use tha, mera paap
Jab tak haasil na huva uddar
Meri jaan layi bujhti saans
Mai janoon Kaam hua samapth
Ghamand mera kuch bhi nahi
Na taufe, bal, ya buddhi mein
Garv karun sirf Yeshu ke
Mrityu, punaruthaan mein
Kyon paaon main uska inaam?
Iska koi uttar nahi Par samajhe mere dilojaan
Un gaavon ne chukaaya daam
Hosanna (Praise Is Rising)
Stuthi gaayein, ankhein uthaate hain hum
Teri or
Aasha leke, Yeh dil tarse Tere liye,
Tere liye
Tere darshan se naye din ka bal mile
Tere paas / saath, Prabhu hum nidar bane,
nidar bane
Hosanna Hosanna
Tu Prabhu Taranhaar,
Yogya har stuthi ka
Hosanna Hosanna
Poori ho Teri iccha
Swagat hai Yeshu Raaja
Dil ki Sunn pukar, Laut kar aayein
Teri or, Teri or
Tere raajya mein toote naya jeevan pate hain
Tu karta naya
Tere darshan se...
Hosanna Hosanna ...
Hai Anand Hai (Happy Day)
Itihaas ki gavaai hai
Mrityunjay humein bachaata hai
Gaayein hum, "Yeshu Zindaa hai"
Kroos khaali, kabra bhi
Tune layi anant zindagi
Cheekhein hum,
"Yeshu Zindaa hai...zindaa hai"
Hai, anand hai! Anand hai!
Mere paap saare dhul gaye
Hai, anand hai! Anand hai!
Maine paaya naya jeevan hai
Hoon main badla sadaa ke liye
Khade jab us sthaan mein,
Main swatantra, Tere saamne
Yeshu Tu hai mera, main Tera
Behad khushi, behad chain
Saare dard ab aakhirr thamenge
Manayein
"Yeshu Zindaa hai...zindaa hai"
Ho, gaoonga main
Tere liye
Jo Tune chudaaya mujhe hai
Ho, gaoonga main
Teri hi Jai
Dhanya Tera naam (Blessed Be Your Name)
Dhanya Tera Naam Bahutayaki mein
Paripoornta mein Dhanya Tera Naam
Dhanya Tera Naam Banjar haalaton mein
Jangal ke raaste Dhanya Tera Naam
Tere ashish ke badle, gaoon stuthi
Jab andhera cha jaaye, Kahoon tab bhi
Dhanya Tera Naam hai Prabhu
Dhanya Tera Naam
Dhanya Tera Naam hai Prabhu
Dhanya Tera Tejasvi Naam
Dhanya Tera Naam Jab Sooraj suhaana ho
Jab sab kushal mangal ho, Dhanya Tera Naam
Dhanya Tera naam, Mushkilon ki raahon mein
Dard ho bhale, arpan mein, Dhanya Tera Naam
Tere ashish...
Dhanya Tera...
Tu hi deta hai, Tu hi leta hai
Yehovah, Mera dil kahe
Dhanya Tera Naam
Aradhana Karun (Light Of The World)
Jag Jyoti Tu utra andhkaar mein
Tune meri aankhein khol di
Khoobsurti , Tujhe chahoon pure dil se
Aasha jeevan Tere sang ki
Aradhana Karun
Sar ko main jhukaaoon
Prabhu sirf Tu hai Mera Khuda
Tu hai ati sundar
Tu hai ati yogya
Tu hai ati adhbhut mujho/mere liye
Raaja anant Tu sab se hai uncha
Mahima mein viraajmaan
Namr hokar aaya
jis sansaar ko banaya usme
Prem ke khatir hua gareeb
Aradhana Karun...
Main kabhi na jaanoon daam mere
Paap sooli par chadhane ke
Tere Pyaar Ke Geet Main Gaoon (I Could Sing Of Your Love)
Sagar, Pahaadon se vishaal
Hai Tera prem mere prati
Main apne dil khole yahaan
Pane khada hoon changaayi
Sacchayi jaankar khush hoon
Har roz main haath uthaata hoon
Aur gaaon main sadaa
Tere Pyaar ke geet
Ga Re Ga Ma Ga Re
Sa Ni Sa (5)
Re
Ga Re Ga Ma Ga Re
Sa Ni Sa (4)
Pa Pa Re Sa
Tere pyaar ke geet mein gaaoon (4)
Naachne ko dil kare
Jaanon moorkhta hai yeh
Duniya jab dekhe prakaash
Weh nachenge
Jaise Hum ab naache